Tuesday, 10 August 2010

Nusrat Fateh ali khan - ye jo halka halka Suroor hain, qawalli song

Nusrat Fateh ali khan - ye jo halka halka Suroor hain



$ Ye jo halka halka suroor hai $.................................... 2

Yeh teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya

$$

Ye jo halka halka suroor hai
Ye teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya
Tere pyaar ne teri chaah ne
Teri behki behki nigaah ne....................................................8
Teri behki behki nigaah ne
Mujhe ek sharaabi bana diya


Sharaab kaisi, Khumaar kaisa
Yeh sab tumhari nawazishen hain
Pilayi hai kiss nazar se tu ne
Keh mujh ko apni khabar nahin hai
Teri behki behki nigaah ne....................................................4

Sara jahan mast Jahan ka nizam mast
Sara jahan mast Jahan ka nizam mast
Tum mast sheesha mast sab mast jaam mast
Tum mast sheesha mast sab mast jaam mast
Din mast raat mast Sahr mast shaam mast
Din mast raat mast Sahr mast shaam mast
Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai
Yun to saaqi har tarha ki tere maikhane mein hai

woh bhi thori si..................2.................. jo in aankhon ke paimaanay mein hai
Sab samajhta hoon teri ishwaagari? ai saki
Kaam karti hai nazar, naam hai maikhane ka
Teri behki behki nigaah ne....................................................4



Tera piyaar hai meri zindagi
Bus meri zindagi tera pyaar hai
BUs meri zindagi tera pyaar hai

Na namaaz aati hai mujh ko na wuzu aata hai
Sajda kar leta hoon jab saamnay tu aata hai
Bus meri zindagi...


Tera pyaar hai meri zindagi
Teri yaad hai meri bandagi
Jo teri khushi woh meri khushi
Jo teri khushi woh meri khushi
Ye mere junoon ka hai mojza
Ye mere junoon ka hai mojza
Jahan apne sar ko jhuka diya
Wahan mein ne kaaba bana diya


Mere baad kiss ko sataao ge
Mere baad kiss ko sataao ge

Mein ne un ke saamne awwal-to-khanjar rakh diya
Phir kaleja rakh diya dil rakh diya sar rakh diya
aur arz kiya
Mere baad kiss ko sataao ge

Mere baad kiss ko sataao ge
Mujhe kiss tarha se mitaao ge
Kahan ja ke teer chalaao ge
Meri doosti ki balaayen lo
Mujhe haath utha kar duaaein do
Tumhein ek kaatil bana diya

Ye jo halka halka suroor hai
Yeh teri nazar ka kusoor hai
Ke sharaab peena sikha diya

No comments:

Post a Comment