Aise Besharm Aashiq--Yusuf Azad, Rashida Khatun - Qawwali Muqabala
[Rashida Khatun]
Aise besharm aashiq hain ye aaj ke….2
Inko apne banana gazab ho gaya………………….2
Dheere Dheere kalai lage thamne…….2
Inko ungli thamana gazab ho gaya…………………2
[Yusuf Azad]
Jo ghar mein sheel pe masala talak na pees sake
Unhe ye naaz humen khak mein milayenge
Kalai dekho to chudi ka bojh sah na sake
Aur uspe dawa talwaar hum uthayeneg
Farebo makkar mein inka nahi koi saani
Ye jisko dasle wo mange na umra bhar pani
Bada ajib hain tastoor inke mehfil ka
Bulaya jata izzat badhai jaati hain
Fir uske baad wahin katal karke aashiqko
Badi dhoom se mayiyat uthayi jaati hain
Khata humari hain jo unse pyaar kiya
Bura kiya jo haseeno pe aitbaar kiya
Bhool humse hui inke aashiq bane
Paas inko bulana gazab ho gaya …………….2
Thokro mein the jab tak to seedhe the ye
Inko sar pe bithana gazab ho gaya……………………..2
[Rashida Khatun]
Hum aurato ko nazar se uttarne walo
Khabar bhi hain tumhe sekhi bagharne walo
Ki is zameen pe putali bhi ek aurat hain
Ki jismein mard ko lalkarne ko himmat hain
Pehan ke sir pe dileri ka taaz bathi hain
Jo ghar mein thi wo singhasan pe aaj baithi hain
Agar jhuke to ye dil kya jaan bhi de de
Jo sir udhaye to mardo ki jaan bhi le le
Agar ye fhool ka ek haar hain yahi aurat
Jo zid pe aye to talwaar hain ye aurat
Ye putali banke zamane ko mod sakti
Uddhe to mard ka panja marod sakti hain
Teri himmat pe putali humen naaz hian
Tera maidan mein aana gazab ho gaya……………………2
[Yusuf Azad]
Ek din bole faristein kar ke ye duniya ki sair
Ya khuda duniya teri suni hain aurat ke bagair
Udh pade hikmat dikhane ke liyr kudrat ke haath
Soch li maula ne aurat ko janm dene ki baat
Ish tarah malik ne ki kari gari ki iftizaa
Chand se manga ujala
Noor suraj se liya
Roop sairayon se manga
Rang ussha se liya
Pankhadi se li nazakat
Hunr Kaliyon se ada
Shaam se kaajal liya aur
Subah se gaza liya
Bijaliyon se pair manga
Aag se gussa liya
Hausla chattan se aur
Dard panchi se liya
Aashmaan se julm manga
Sabr dharti se liya
Saakh se angdayian
Jharane se ithlana liya
Bulbule se nazuki
Nadi se balkhana liya
Aiyeene se hairate
Tasveer se khamoshiya
Lehar se atkheliya mangi
Pawan se sohkiyaan
Aankh li harani se aur
Sabnam se aashu lel lye
Badliyon se julm
Nazaron se jadoo le liya
Lajwanti se sharm
Aur raatrani se haya
Abroo moti se li
Surajmukhi se li wafa
Zehar nagin se liya aur
Saap se dasna liya
Katna bichu se manga
Teer se chubhna
Lomadi se mangli ta umar ki makariyaan
Makhiyon se sor aur
Mashar se li aiyaariyaan
Itni cheeze jama hoke jab lagi maula ke haath
Aur insabko milaya jab khuda ne ek saath
Tab kahin jaakar badi mehnet se ek murat bani
Dilnasheen pe kar bala ek dilruba surat bani
Dekh kar apni kalakaari ko maula hans pada
Aur usi anmol shai ka naam aurat rakh diya
Rakh chukka jab naam uske baad ui kehen laga kya
Main banakar tujhe khud pareshaan hun
Arre Tujhko duniya mein lana gazab ho gaya……………………2
[Rashida Khatun]
Jab mere maula ne socha mard ko paida kare
Sabse pehle ye sawaal aya ki kudrat kya kare
Patharon se sangdili aur berukhi taqdeer se
Kehar tufano se manga aur gazab shamsheer se
Li gadhe se akal kauwe se siyanapan liya
Aur kuch kutte ki tedhi dhum se tedhpan liya
Dhaak li billi se aur Chuhe se manga bhagna
Aur oolo se liya raaton ko ishka jagna
Le liya totte se ankhen fer lene ka chalan
Bhediya se khoon peene ka liya dewaana pan
Li gayi girgit se har dum rang badale ki ada
Jisse aurat ko diya karta rahen dhoka sada
To ishko na farmaniya bakshi gayi saitan ki
Jhoot bole taki ye khakar kasam bhagwan ki
Leke mitti mein masala jab ye milwaya gaya
Farq us dum mard ki fitrat mein ye paya gaya
Mard ke putlo mein jis dum jaan daudayi gayi
Ushmein aurat ki bhi thodi si ada payi gayi
Aurato mein mard ki surat nahi milti janaab
Par inhi mardon mein milte hian janane behisaab
Sakal mardo ki to aadat ke janane ho gaye
Kya khuda ne chaha tha aur kya na jaane ho gaye
Ban chukka jab mard to maula ne mere yun kaha.,,, kya
Acha khasa banaya tha maine isshe
Ban gaya ye janana gazab ho gaya.
M : wah re putali bai kya deleri dikhayi
F: teri himmat ke satke teri jurrat ke satke
M: tu bahadur tu nidar akal aur hosh tujh mein
F: jish aurat ka lekin mard ka josh tujh mein
M: jisko samjhena koi wo ulatfer hain tu
F: teri himmat ki kasam waqehi sher hian tu
F: tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya
Tera karke dikhana gazab ho gaya……………..2
Teri himmat pe putali humen naaz
Tera maidan mein ana gazab ho gaya…………..2
No comments:
Post a Comment